top of page
light background -resources.jpg

जाने क्या थी खूबियां माँ तुम्हारे प्यार में

Jaane Kya Thi Khubiya Maa

Jaane Kya Thi Khubiya Maa
00:00 / 01:04

Artists

Brahma Kumaris group

Lyrics

Jaane kya thi khubiya Maa tumhare pyar me...(2) Paalna Maa ki amar hai... Aaj tak sansar me..(2) Jaane kya thi khubiya... Baba ke us pyar me itni tum to kho gai... Dekhte hi dekhte tum nashtomoha ho gai... Maa ki bhi Maa ban gai thi...(2) Aye hum vyavhar me..(2) Paalna Maa ki amar hai... Sheetala aur Shakti ka sahaj dekha santulan... Tumse gaayan hai jagat me, Shiv se Shakti ka milan... Maa ki mamta roop dharkar..(2) Aai thi saakar me...(2) Paalna Maa ki amar hai... Maa tumhari saras vaani me madhur anokhe raaz the.. Sneh shakti shanti sukh ke sab samaaye saaz the... Raagini man bhavini...(2) Gunji veena taar me...(2) Paalna Maa ki amar hai.... Mahima karte Baba ki tu Mumma Jagdamba bani... Haath khali daata ban gae Lakshmi tu sabse dhani... Baba se bhi aage chalkar...(2) Aai Vijayi haar me...(2) Paalna Maa ki amar hai.... Jo diya adarsh humko hum bhi uspar chal rahe.... Un madhur shikshao ki god me hai pal rahe... Aansuon me sneh ke...(2) Angoor bhige yaad me...(2) Maa tumhaare pyar me... Jaane kya thi khubiya Maa tumhare pyar me...(2) Paalna Maa ki amar hai... Aaj tak sansar me...(2) Jaane kya thi khubiya, Maa tumhare pyar me...
music and light
bottom of page