top of page
Dukhiyo pe Kuch Raham Karo
Dukhiyo pe Kuch Raham Karo
00:00 / 01:04
Artists
Aarti Mukherjee & Asha Bhosle
Lyrics
Ai duniya ke maan baap suno ..
ye Desh hai kishan kanhaiya ka..
Ye bhumi vahi hai pyaar jahaan
Lutta tha jashoda maiya ka...
Lekin is desh me hi ab to..
Aise bhi abhagye hote hai...
Maan baap ke hote huye bhi
Jo hansne ki umar me rote hai...
{ Music }
Dukhiyon pe kuchh raham karo maan baap humare
Bhule ho jinhe hum wahi bachche hai tumhare..
Dukhiyon pe kuchh raham karo maan baap humare
Bhule ho jinhe hum wahi bachche hai tumhare
Dukhiyon pe kuchh raham karo....
Hum hai wo diye ruth gayi jin se diwaali..(2)
{ Music }
Wo phool hai jinse yahaan naraz hai maali
Hum wo hai jo pyaase rahe ganga ke kinare
Bhule ho jinhe hum wahi bachche hai tumhare
Dukhiyon pe kuchh raham karo...
Ho...
Jo ho sake tumse to zara pyaar hume do..(2)
Hum ro rahe hai hansne ka adhikaar hume do
Pyaar hume do
Aangan me tumhare hai khade haath pasare..
Bhule ho jinhe hum wahi bachche hai tumhare..
Dukhiyon pe kuchh raham karo..
{ Music }
Maiya zara ek baar hume paas bula lo (2)
Baapu hume sansaar ki aandhi se bacha lo...
Tumko humari aankh ka har aansu pukare..
Bhule ho jinhe hum wahi Bachche hai tumhare..
Dukhiyon pe kuchh raham Karo maan baap humare,
Bhule ho jinhe hum wahi Bachche hai tumhare,
Dukhiyon pe kuchh raham karo...
bottom of page