top of page

Aa Jao Ladlo Ab
Aa Jao Ladlo Ab
00:00 / 01:04
Artists
Sadhna Sargam, BK Om Vyas
Lyrics
Aa jao Ladhlo ab 'Avyakt' hai ishaare...
Intezaar kar rahe hain, Baba baahein pasare...

Aa jao Ladhlo ab
Ye Hansmandali par ek Taaj hai nirala...
Sabko banana sampann...
Amrit ka deke pyala...
Aadhar tum Dhara ke, Sabke tum hi sahare..
Intezaar kar rahe hain, Baba baahein pasare...
Aa jao Ladhlo ab
Pavitrata tumhari Sansar jab gaaye
Farishto ki Jhalak se, Sab Divya Gyan paye...
Suksham Watan sajao dharti ke tum Sitaare..
Intezaar kar rahe hain, Baba baahein pasare...
Aa jao Ladhlo ab
Antim samay ki ghadiyaan....
Tohfe hain leke aai...
Baba khade Watan me, Tumhe dene ko badhai...
Karte Avahan tumhara, Dev Kul ke Dev saare...

bottom of page