top of page
light background -resources.jpg

८४ जन्मो का हुआ यह खेल

84 Janmo ka Hua Khel

84 Janmo ka Hua Khel
00:00 / 01:04

Artists

Madhushmita, BK Naval

Lyrics

84 Janmo ka hua ye khel purana hai... Satyug se Kalyug ka hua Sangam ye suhana hai... Satya Shivam Sundar ko ab humne jaana hai... Shiv Pita, Prabhu Pita lene aaye, hume ab Ghar jaana hai...(2) Lakh chaurasi jeevo ka jal thal me aana jaana hai... Hum Atma panchiyo ka Paramdham thikana hai... Suraj Chaand Taaro ko...(2) Dukhi aur bimaro ko hume apna banana hai... Shiv Pita, Prabhu Pita lene aaye, hume ab Ghar jaana hai...(2) Tan teerath Mann moorat hai mera har Baccha Bhagirath hai.. Aadam ko dev banana Shiv Pita ki jaisi seerat hai.. Apne kul parijano ko..(2) Bhavsagar paar karana hai... Shiv Pita, Prabhu Pita lene aaye, hume ab Ghar jaana hai...(2) Sukh shanti ki uda rahe wo pawan hume chunariya.. Maya moh se door wo banaye Swarg Nagariya.. Radhe-Krishna ke sang waha...(2) Hume raas rachana hai... Shiv Pita, Prabhu Pita lene aaye, hume ab Ghar jaana hai...(4)
music and light
bottom of page